Kya hua khamosh agar tu rehti thi
Mere dukhon ka bojh tha tere dil par
Tu samajhti thi meri zeest hai kitni mushkil
Dard mera har ik sehti thi Tu apne dil par
Mere har dukh ko Tu yun mehsoos kya karti thi
Dur hoke bhi Tu dur nahin thi mujh se
Bezubani ki zuban meri samajhti thee Tu yun
Janti thi wo jo kabhi mein ne kaha naa tujh se
Duryan tujh mein aur mujh mein bohat thein lekin
Muztarib mein thee yahan tou Tu thee bechain wahan
Theis lagti thi idhar
tees uthti thi udhar
Zakhm lagta tha yahan
dard hota tha wahan!
Mein ne socha tha ke Tu jab bhi mileigi mujh ko
Hue jo mujh pe sitam ye mein bataungi tujhe
Tere mumta bhare seene mein chupa ke chehra
Khub roungi mein
aur khub rulaungi tujhe
Apne narm se hathon se Tu pocheigi mere ansoo
Yun bare pyar se deigi Tu tasalli mujh ko
Naa ro beti meri.. abhi to mein zinda hun
Apne mamta bhare anchal mein samo leigi mujh ko
Lekin aisa na hua Tu tou mujhe chor gayi
Dhup ghum ki hai kari aur tera saaya bhi nahin!
Tere jaane se yun zakhm mere cheekh uthe
Unki dukhan jo kare kum, koi marham hi nahin!
Ghum ki rahon mein koi aur sahara to na tha
Tere milne ki umeed hi kaafi thee mujhe
Zindagi pehle bhi mujh ko koi asaan na thi
Tu nahin to ye zeest aur bhi mushkil hai mujhe!
Mere ashkon ko hai haajat tere daaman ki
Dil ke zakhmon ko hai mamta ke marham ki talab
Yun museebat mein mujhe tanha Tu kyun chor gayi?
Kuch to batlaa mujhe yun mun pher ke jane ka sabab!
Dard seh kar mujhe hansna tha sikhaya Tu ne
Har qadam par meri himmat ko barhaya Tu ne
Sar utha ke mujhe jeena to sikaahya Tu ne
BIN TERE KAISE JYUN? YE NAA BATAAYA TU NE!!!
Yasmin Elahi
No comments:
Post a Comment